Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2018
                                    Yogyata Aur Vyavasay Ka Chunav       Pratyek manushya ke liye kisi-n-kisi vyavasay, rojgar athawa peshe ki awashyakata hai aur apane buddhimattapurvak vyavasay chunane me hi manushyajeevan ka safal hona avalambit hai. Aise bahut hi thode, hajaro me aise manushya honge jinhe jeevannirvah ke liye kuchh udyog nahi krna padta. Arthat jinke pas aawashyakta se  bahut hi adhik sampatti hoti hai parantu aise manushyo ko udarpurti ke liye bhale hi kasht na uthna pade, parantu apane jeevan ko sukhamay banane ke liye tatha use aalashya se bachane ke liye, ichchha na hone par bhi kuchh kam karna hi padata hai. Tatpary yah hai ki manushyajeevan kam karne ke liye hi banaya gaya hai aur dhanwan tatha dhanhin koi bhi manushya isase bach nahi sakata.      Yadyapi is baat ki satyata nirvivad siddhh hai ki pratyek manush ko kuch-n-kuch...